ab kya batau tujhe kya hai tu
sham ki halki thandak
ya din ki jalti dhoop hai tu 
ab kya batau tujhe kya hai tu
jalti mere dil ki agan 
ya ankhon ki nami hai tu
ab kya batau tujhe kya hai tu
mere har khwab ki smajh 
ya mere her sawal ka jwab hai tu 
ab kya batau tujhe kya hai tu 
mere akelepan ka saathi 
ya khamoshi me shor he tu
ab kya batau tujhe kya hai tu 
kahne ko tu hai ek shakhs kewal
par kya batau meri har saans hai tu